kisi ke ishq mein ye kaam karna chahte hain
kisī ke 'ishq meñ ye kaam karnā chāhte haiñ
ham āsmān pe ab paañv dharnā chāhte haiñ
simaTnā chāhtī hai raat merī āñkhoñ meñ
sitāre mere badan meñ utarnā chāhte haiñ
hameñ to raas na aayā ye intishār apnā
zarā sameT leñ ḳhud ko to marnā chāhte haiñ
nikal ke dekh zarā hujra-e-taġhāful se
tirī galī se musāfir guzarnā chāhte haiñ
jinheñ kisī kī nigāhoñ ne bāñdh rakkhā thā
ab us tilism ke lamhe bikharnā chāhte haiñ
bhaTak rahe haiñ in āñkhoñ ke shahr meñ kab se
sarā-e-ḳhvāb meñ ik din Thaharnā chāhte haiñ
kisi ke 'ishq mein ye kaam karna chahte hain
hum aasman pe ab panw dharna chahte hain
simaTna chahti hai raat meri aankhon mein
sitare mere badan mein utarna chahte hain
hamein to ras na aaya ye intishaar apna
zara sameT len KHud ko to marna chahte hain
nikal ke dekh zara hujra-e-taghaful se
teri gali se musafir guzarna chahte hain
jinhen kisi ki nigahon ne bandh rakkha tha
ab us tilism ke lamhe bikharna chahte hain
bhaTak rahe hain in aankhon ke shahr mein kab se
sara-e-KHwab mein ek din Thaharna chahte hain
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 77)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 79)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.