kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun
kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun
Munawar Khan Ghafil
MORE BYMunawar Khan Ghafil
kisī ke maiñ libās-e-āriyat ko kyā samajhtā huuñ
phaTe kapḌoñ ko apnī ḳhil.at-e-dībā samajhtā huuñ
jahāñ dīvāna koī apne saa.e se ulajhtā hai
use zulf-e-musalsal kā tirī saudā samajhtā huuñ
maiñ go majnūñ huuñ par matlab nahīñ kuchh koh-o-sahrā se
savād-e-shahr hī ko ḳhema-e-lailā samajhtā huuñ
hazāroñ bāġh-e-duniyā meñ tamāshe maiñ ne dekhe haiñ
do-rañgī ko zamāne kī gul-e-ra.anā samajhtā huuñ
nahīñ mai-ḳhāna-e-ālam meñ mujh sā mast-o-be-ḳhud hai
ki shor-e-hashr ko bhī qulqul-e-mīnā samajhtā huuñ
atā kī hai ḳhudā ne chashm-e-vahdat-e-bīñ mujhe jaise
jise qatra samajhtā thā use dariyā samajhtā huuñ
hameñ rah rah ke yaad aatā hai hañgām-e-itāb us kā
dikhā kar aañkh kahnā rah to jā kaisā samajhtā huuñ
ḳhat-e-mushkīñ ko raihāñ jāntā huuñ bāġh-e-ālam meñ
tirī chashm-e-siyah ko nargis-e-shahlā samajhtā huuñ
barābar ġhair ke bhī martaba merā nahīñ afsos
agarche aap kahte haiñ tujhe apnā samajhtā huuñ
maqām-e-imtihāñ meñ dekh lenā ek din sāhab
raqīb-e-rū-siyah Thahregā kyā itnā samajhtā huuñ
numūd itnī kahāñ thī shā.erī meñ merī ai 'ġhāfil'
meñ is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-'goyā' samajhtā huuñ
kisi ke main libas-e-ariyat ko kya samajhta hun
phaTe kapDon ko apni KHilat-e-diba samajhta hun
jahan diwana koi apne sae se ulajhta hai
use zulf-e-musalsal ka teri sauda samajhta hun
main go majnun hun par matlab nahin kuchh koh-o-sahra se
sawad-e-shahr hi ko KHema-e-laila samajhta hun
hazaron bagh-e-duniya mein tamashe main ne dekhe hain
do-rangi ko zamane ki gul-e-rana samajhta hun
nahin mai-KHana-e-alam mein mujh sa mast-o-be-KHud hai
ki shor-e-hashr ko bhi qulqul-e-mina samajhta hun
ata ki hai KHuda ne chashm-e-wahdat-e-bin mujhe jaise
jise qatra samajhta tha use dariya samajhta hun
hamein rah rah ke yaad aata hai hangam-e-itab us ka
dikha kar aankh kahna rah to ja kaisa samajhta hun
KHat-e-mushkin ko raihan jaanta hun bagh-e-alam mein
teri chashm-e-siyah ko nargis-e-shahla samajhta hun
barabar ghair ke bhi martaba mera nahin afsos
agarche aap kahte hain tujhe apna samajhta hun
maqam-e-imtihan mein dekh lena ek din sahab
raqib-e-ru-siyah Thahrega kya itna samajhta hun
numud itni kahan thi shaeri mein meri ai 'ghafil'
mein is shohrat ko faiz-e-sohbat-e-'goya' samajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.