kisi ke nam rutba aur na KHadd-o-Khaal se matlab
kisī ke naam rutba aur na ḳhadd-o-ḳhāl se matlab
kirāman kātibīñ ko ḳhalq ke a.amāl se matlab
ye bas sāñsoñ kī lai par naam us kā japte rahte haiñ
faqīroñ ko nahīñ hotā miyāñ sur taal se matlab
mayassar aa.iiñ un ko zindagī kī saarī sauġhāteñ
jinheñ hai is jahāñ meñ shaukat-o-iqbāl se matlab
agar is daur meñ uThnā hai to uTh jaane de maulā
kisī momin ko kyoñ ho fitna-e-dajjal se matlab
vagarna kaun rañgīnī ke pīchhe bhāge duniyā kī
hai jab tak zindagī tab tak hai is janjāl se matlab
ham apnī dhun meñ har-dam mahv rahte haiñ hameñ ai dil
ġharaz ḳhushiyoñ kī sāzish se na ġham kī chaal se matlab
sagān-e-dahr kā hai kaam yūñhī bhauñkte rahnā
magar allāh vāloñ ko hai apnī chaal se matlab
vo jab ai 'shād' amānat ġhair kī ho hī gayā hai to
na rakh tū bhī ab us ke reshmī rūmāl se matlab
kisi ke nam rutba aur na KHadd-o-KHal se matlab
kiraman katibin ko KHalq ke aamal se matlab
ye bas sanson ki lai par nam us ka japte rahte hain
faqiron ko nahin hota miyan sur tal se matlab
mayassar aain un ko zindagi ki sari saughaten
jinhen hai is jahan mein shaukat-o-iqbaal se matlab
agar is daur mein uThna hai to uTh jaane de maula
kisi momin ko kyon ho fitna-e-dajjal se matlab
wagarna kaun rangini ke pichhe bhage duniya ki
hai jab tak zindagi tab tak hai is janjal se matlab
hum apni dhun mein har-dam mahw rahte hain hamein ai dil
gharaz KHushiyon ki sazish se na gham ki chaal se matlab
sagan-e-dahr ka hai kaam yunhi bhaunkte rahna
magar allah walon ko hai apni chaal se matlab
wo jab ai 'shad' amanat ghair ki ho hi gaya hai to
na rakh tu bhi ab us ke reshmi rumal se matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.