kisi ke paikar-e-ru-posh par nazar hai abhi
kisī ke paikar-e-rū-posh par nazar hai abhī
to duur mujh se dar-andāzī-e-sahar hai abhī
ye jaan kar bhī ki mujh par nazar nazar hai abhī
mirā shu.ūr burā.ī se be-ḳhabar hai abhī
lage haiñ buġhz ke shīshe jahāñ jabīnoñ meñ
vahāñ udaas mohabbat kā sang-e-dar hai abhī
isī ko log sameTeñge dāstānoñ meñ
mire laboñ pe jo rūdād-e-muḳhtasar hai abhī
kisī kā kilk-e-tanaffur charā na le us ko
jo husn merī nigārish meñ jalva-gar hai abhī
ḳhudā bachā.e har aisī kitāb ko jis meñ
hai Tiipū aaj bhī Tiipū zafar zafar hai abhī
yūñhī rahegā rahegā rahegā tā-ba-hayāt
adab pe 'shauq' ke jo sāya-e-‘asar’ hai abhī
kisi ke paikar-e-ru-posh par nazar hai abhi
to dur mujh se dar-andazi-e-sahar hai abhi
ye jaan kar bhi ki mujh par nazar nazar hai abhi
mera shuur burai se be-KHabar hai abhi
lage hain bughz ke shishe jahan jabinon mein
wahan udas mohabbat ka sang-e-dar hai abhi
isi ko log sameTenge dastanon mein
mere labon pe jo rudad-e-muKHtasar hai abhi
kisi ka kilk-e-tanaffur chara na le us ko
jo husn meri nigarish mein jalwa-gar hai abhi
KHuda bachae har aisi kitab ko jis mein
hai Tipu aaj bhi Tipu zafar zafar hai abhi
yunhi rahega rahega rahega ta-ba-hayat
adab pe 'shauq' ke jo saya-e-‘asar’ hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.