kisi ke ranj-o-gham mein jo bashar shamil nahin hota
kisi ke ranj-o-gham mein jo bashar shamil nahin hota
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
kisī ke ranj-o-ġham meñ jo bashar shāmil nahīñ hotā
vo duniyā meñ kabhī tāzīm ke qābil nahīñ hotā
marīz-e-ishq se ai chārāgar ye be-ruḳhī kaisī
kisī bebas kā dil rakhnā koī mushkil nahīñ hotā
nihāyat be-maza hotī hai vo rūdād ulfat kī
tumhārā zikr jis rūdād meñ shāmil nahīñ hotā
koī pūchhe mire dil se zarā mahfil kī vīrānī
kabhī mahfil meñ jab vo raunaq-e-mahfil nahīñ hotā
haqīqat meñ unhīñ ko zindagānī raas aatī hai
vo jin ke vāste marnā koī mushkil nahīñ hotā
sulūk-e-dahr kā shikva kabhī karte nahīñ varna
sulūk-e-dahr se ġhāfil hamārā dil nahīñ hotā
mohabbat kī koī manzil nahīñ hotī zamāne meñ
ye vo dariyā hai jis kā koī bhī sāhil nahīñ hotā
tirī bātoñ pe ai nāseh yaqīñ ham kis tarah kar leñ
ye vo bāteñ haiñ jin bātoñ se kuchh hāsil nahīñ hotā
faqat saaqī kā dil rakhne ko pī letā huuñ ai 'āsī'
kisī sūrat meñ varna shāmil-e-mahfil nahīñ hotā
kisi ke ranj-o-gham mein jo bashar shamil nahin hota
wo duniya mein kabhi tazim ke qabil nahin hota
mariz-e-ishq se ai chaaragar ye be-ruKHi kaisi
kisi bebas ka dil rakhna koi mushkil nahin hota
nihayat be-maza hoti hai wo rudad ulfat ki
tumhaara zikr jis rudad mein shamil nahin hota
koi puchhe mere dil se zara mahfil ki virani
kabhi mahfil mein jab wo raunaq-e-mahfil nahin hota
haqiqat mein unhin ko zindagani ras aati hai
wo jin ke waste marna koi mushkil nahin hota
suluk-e-dahr ka shikwa kabhi karte nahin warna
suluk-e-dahr se ghafil hamara dil nahin hota
mohabbat ki koi manzil nahin hoti zamane mein
ye wo dariya hai jis ka koi bhi sahil nahin hota
teri baaton pe ai naseh yaqin hum kis tarah kar len
ye wo baaten hain jin baaton se kuchh hasil nahin hota
faqat saqi ka dil rakhne ko pi leta hun ai 'asi'
kisi surat mein warna shamil-e-mahfil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.