kisi ke sath dene ka koi imkan nahin hota
kisī ke saath dene kā koī imkāñ nahīñ hotā
vasī-ul-qalb honā is qadar āsāñ nahīñ hotā
bichhaḌte vaqt ik aañsū pas-e-mizhgāñ nahīñ hotā
magar ye hausla is dard kā darmāñ nahīñ hotā
judā.ī kā ta.assur mujh pe kuchh hai aap par kuchh hai
asar har baat kā har shaḳhs par yaksāñ nahīñ hotā
mirā dil apne hī ehsās kī shiddat gañvā baiThā
tumhārī baat kā afsos ab chandāñ nahīñ hotā
tazād apnī tabī.at kā mizāj us kī mohabbat kā
har andesha ba-vaj.h-e-gardish-e-daurāñ nahīñ hotā
samundar kī taheñ aur āsmāñ kī sab hadeñ chhū leñ
magar insāñ ko apnī zaat kā irfāñ nahīñ hotā
'nasīm' apne liye tum ne duā bhī tark kar Daalī
to kyā ab ḳhud se milne kā tumheñ armāñ nahīñ hotā
kisi ke sath dene ka koi imkan nahin hota
wasi-ul-qalb hona is qadar aasan nahin hota
bichhaDte waqt ek aansu pas-e-mizhgan nahin hota
magar ye hausla is dard ka darman nahin hota
judai ka tassur mujh pe kuchh hai aap par kuchh hai
asar har baat ka har shaKHs par yaksan nahin hota
mera dil apne hi ehsas ki shiddat ganwa baiTha
tumhaari baat ka afsos ab chandan nahin hota
tazad apni tabiat ka mizaj us ki mohabbat ka
har andesha ba-wajh-e-gardish-e-dauran nahin hota
samundar ki tahen aur aasman ki sab haden chhu len
magar insan ko apni zat ka irfan nahin hota
'nasim' apne liye tum ne dua bhi tark kar Dali
to kya ab KHud se milne ka tumhein arman nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.