kisī ke saath jhagḌā ho gayā hai
batā.ūñ kyā tumheñ kyā ho gayā hai
nahīñ bantā yahāñ koī bhī apnā
mujhe kyoñ ye bharosa ho gayā hai
use mil kar mujhe kaisī ḳhushī hai
mire ġham meñ vo aadhā ho gayā hai
maiñ itne pyaar se us se milā kyoñ
kisī kā thā jo merā ho gayā hai
bhulā dūñgā use agle janam tak
mirā ḳhud se ye vā'da ho gayā hai
jo rotā thā mire zaḳhmoñ pe yaaro
vo sāthī ab parāyā ho gayā hai
jise dafnā kar aayā thā maiñ 'kaifī'
vahī ab mujh meñ zinda ho gayā hai
kisi ke sath jhagDa ho gaya hai
bataun kya tumhein kya ho gaya hai
nahin banta yahan koi bhi apna
mujhe kyon ye bharosa ho gaya hai
use mil kar mujhe kaisi KHushi hai
mere gham mein wo aadha ho gaya hai
main itne pyar se us se mila kyon
kisi ka tha jo mera ho gaya hai
bhula dunga use agle janam tak
mera KHud se ye wa'da ho gaya hai
jo rota tha mere zaKHmon pe yaro
wo sathi ab paraya ho gaya hai
jise dafna kar aaya tha main 'kaifi'
wahi ab mujh mein zinda ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.