kisi ke subh kei muskan hona
kisī ke sub.h keī muskān honā
añdhere ghar meñ raushan-dān honā
kahūñ maiñ kyā tumheñ is se ziyāda
mire bachcho mirī pahchān honā
safar āsān merā kar gayā hai
tumhārā saath is daurān honā
havādis bhī sikhā jaate haiñ aksar
burā hotā nahīñ nuqsān honā
baḌī mushkil se haath aatā hai ye fan
kahāñ āsān hai āsān honā
hamārī āḳhirī ḳhvāhish yahī hai
tumhārī nazm kā unvān honā
kisi ke subh kei muskan hona
andhere ghar mein raushan-dan hona
kahun main kya tumhein is se ziyaada
mere bachcho meri pahchan hona
safar aasan mera kar gaya hai
tumhaara sath is dauran hona
hawadis bhi sikha jate hain aksar
bura hota nahin nuqsan hona
baDi mushkil se hath aata hai ye fan
kahan aasan hai aasan hona
hamari aaKHiri KHwahish yahi hai
tumhaari nazm ka unwan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.