kisi ke wa’da-e-farda pe umr haar chale
kisī ke vā’da-e-fardā pe 'umr haar chale
ham ik hasīn tasavvur meñ din guzār chale
dil-o-nigāh tirī ik nazar pe vaar chale
hazār shukr ki sadqa tirā utaar chale
tire baġhair bhī jiine ko ham ji.e to magar
yūñhī ki jaise bayābāñ meñ shab guzār chale
ye imtiyāz hai saaqī to mai-kade ko salām
sañbhāl sāġhar-o-mīnā ki bāda-ḳhvār chale
ham aa rahe haiñ chaman meñ kaho pa.e-tā'zīm
idhar qafas se chaleñ ham udhar bahār chale
hayāt qarz thī goyā vafā kī gardan par
chalo ye qarz bhī ahl-e-vafā utaar chale
mizāj-e-yār badalnā na thā kabhī 'afzal'
ham aaj apnī vafāoñ pe sharmsār chale
kisi ke wa’da-e-farda pe 'umr haar chale
hum ek hasin tasawwur mein din guzar chale
dil-o-nigah teri ek nazar pe war chale
hazar shukr ki sadqa tera utar chale
tere baghair bhi jine ko hum jie to magar
yunhi ki jaise bayaban mein shab guzar chale
ye imtiyaz hai saqi to mai-kade ko salam
sanbhaal saghar-o-mina ki baada-KHwar chale
hum aa rahe hain chaman mein kaho pae-ta'zim
idhar qafas se chalen hum udhar bahaar chale
hayat qarz thi goya wafa ki gardan par
chalo ye qarz bhi ahl-e-wafa utar chale
mizaj-e-yar badalna na tha kabhi 'afzal'
hum aaj apni wafaon pe sharmsar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.