kisi ke waste jita hai ab na marta hai
kisī ke vāste jiitā hai ab na martā hai
har aadmī yahāñ apnā tavāf kartā hai
sab apnī apnī nigāheñ sameT lete haiñ
vo ḳhush-libās sar-e-shām jab bikhartā hai
maiñ jis kī raah meñ har shab diye jalātā huuñ
vo māhtāb zamīñ par kahāñ utartā hai
hamārā dil bhī hai vīrāñ haveliyoñ kī tarah
tamām raat yahāñ koī aah bhartā hai
maiñ us ke naqsh-e-kaf-e-pā bhī chhū nahīñ saktā
vo tez-gām havāoñ ke par katartā hai
na bām-e-ārzū raushan na sā.ebān-e-talab
sarā-e-dil meñ kahāñ koī ab Thahartā hai
sab apne aap se ḳhā.if haiñ in dinoñ 'aḳhtar'
har ek shaḳhs yahāñ aa.ine se Dartā hai
kisi ke waste jita hai ab na marta hai
har aadmi yahan apna tawaf karta hai
sab apni apni nigahen sameT lete hain
wo KHush-libas sar-e-sham jab bikharta hai
main jis ki rah mein har shab diye jalata hun
wo mahtab zamin par kahan utarta hai
hamara dil bhi hai viran haweliyon ki tarah
tamam raat yahan koi aah bharta hai
main us ke naqsh-e-kaf-e-pa bhi chhu nahin sakta
wo tez-gam hawaon ke par katarta hai
na baam-e-arzu raushan na saeban-e-talab
sara-e-dil mein kahan koi ab Thaharta hai
sab apne aap se KHaif hain in dinon 'aKHtar'
har ek shaKHs yahan aaine se Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.