kisi ke waste ye saneha kuchh bhi nahin hoga
kisī ke vāste ye sāneha kuchh bhī nahīñ hogā
yahāñ muflis kā 'az.har' ḳhūñ-bahā kuchh bhī nahīñ hogā
javāñ beToñ meñ vālid ke asāse baT chuke hoñge
havelī meñ parindoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ hogā
yahī behtar hai ghar kī baat apne ghar meñ rahne do
Dh.inDhorā pīTne se fā.eda kuchh bhī nahīñ hogā
na aa.egā na baiThegā na vo tum ko manā.egā
mirī maano anokhā vāqi.a kuchh bhī nahīñ hogā
na jaane kyoñ ulajhte haiñ ka.ī be-rabt bātoñ par
agarche jānte haiñ faisla kuchh bhī nahīñ hogā
tumhāre baa'd jaane zindagī kaise basar hogī
koī manzil na koī rāsta kuchh bhī nahīñ hogā
tumhārā ġham mirī āvāz ko patthar banā degā
mire lahje meñ talḳhī ke sivā kuchh bhī nahīñ hogā
ḳhabar kyā thī ki jis ko pūjte haiñ ek muddat se
vo ik rangīñ tasavvur ke sivā kuchh bhī nahīñ hogā
hamesha kī tarah 'az.har' baḌe paimān bāñdhe haiñ
par agle saal bhī ham ne kiyā kuchh bhī nahīñ hogā
kisi ke waste ye saneha kuchh bhi nahin hoga
yahan muflis ka 'azhar' KHun-baha kuchh bhi nahin hoga
jawan beTon mein walid ke asase baT chuke honge
haweli mein parindon ke siwa kuchh bhi nahin hoga
yahi behtar hai ghar ki baat apne ghar mein rahne do
DhinDhora piTne se faeda kuchh bhi nahin hoga
na aaega na baiThega na wo tum ko manaega
meri mano anokha waqia kuchh bhi nahin hoga
na jaane kyon ulajhte hain kai be-rabt baaton par
agarche jaante hain faisla kuchh bhi nahin hoga
tumhaare ba'd jaane zindagi kaise basar hogi
koi manzil na koi rasta kuchh bhi nahin hoga
tumhaara gham meri aawaz ko patthar bana dega
mere lahje mein talKHi ke siwa kuchh bhi nahin hoga
KHabar kya thi ki jis ko pujte hain ek muddat se
wo ek rangin tasawwur ke siwa kuchh bhi nahin hoga
hamesha ki tarah 'azhar' baDe paiman bandhe hain
par agle sal bhi hum ne kiya kuchh bhi nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.