kisi ke zehn mein kya hai nazar nahin aata
kisī ke zehn meñ kyā hai nazar nahīñ aatā
mizāj paḌhne kā sab ko hunar nahīñ aatā
har ek shaḳhs musāfir hai aisī manzil kā
jahāñ se koī kabhī lauT kar nahīñ aatā
hazāroñ fan pe yahāñ dastaras hai logoñ ko
hameñ salīqe se koī hunar nahīñ aatā
zabān-o-dil kī tahārat kā jā.eza le leñ
jinheñ hai shikva du'ā meñ asar nahīñ aatā
jise samajhte haiñ āsān ham bahut 'ālam'
hameñ samajh meñ vahī 'umr-bhar nahīñ aatā
kisi ke zehn mein kya hai nazar nahin aata
mizaj paDhne ka sab ko hunar nahin aata
har ek shaKHs musafir hai aisi manzil ka
jahan se koi kabhi lauT kar nahin aata
hazaron fan pe yahan dastaras hai logon ko
hamein saliqe se koi hunar nahin aata
zaban-o-dil ki tahaarat ka jaeza le len
jinhen hai shikwa du'a mein asar nahin aata
jise samajhte hain aasan hum bahut 'alam'
hamein samajh mein wahi 'umr-bhar nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.