kisi KHas tak na pahunche kisi aam tak na pahunche
kisī ḳhaas tak na pahuñche kisī 'aam tak na pahuñche
jo haiñ ranjisheñ hamārī vo avaam tak na pahuñche
tirī dūriyāñ salāmat tujhe chāhtā rahūñ maiñ
mujhe maut aa.e tujh ko ye payām tak na pahuñche
tire haath meñ qalam hai to vo likh jo haq hai 'ahmad'
vo na baat likh tū 'ahmad' jo nizām tak na pahuñche
kisi KHas tak na pahunche kisi 'am tak na pahunche
jo hain ranjishen hamari wo awam tak na pahunche
teri duriyan salamat tujhe chahta rahun main
mujhe maut aae tujh ko ye payam tak na pahunche
tere hath mein qalam hai to wo likh jo haq hai 'ahmad'
wo na baat likh tu 'ahmad' jo nizam tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.