kisi KHayal ki rau mein tha muskuraate hue
kisī ḳhayāl kī rau meñ thā muskurāte hue
magar vo chauñk paḌā thā nazar milāte hue
chamak thī ik pas-e-dīvār sā.iqa-bar-dosh
ki taaq o dar the shab-e-māh meñ nahāte hue
magar navishta-e-dīvār lā-zavālī hai
zamāna karvaTeñ letā hai aate jaate hue
kabhī kabhī koī lamha bhī jāvedānī hai
guzar ga.iiñ ka.ī sadiyāñ yahī sunāte hue
jo rah gayā thā kahīñ ik sahāb-e-nā-rafta
bikhar ke ḳhaak huā paañv laḌkhaḌāte hue
maiñ Dagmagāyā to sāhil kā thā na maujoñ kā
chamak rahī thī nadī āsmāñ uḌāte hue
zarā sī raushnī phūTī to sub.h-dam sūraj
fazā meñ Duub gayā āstīñ chaḌhāte hue
koī kisī kā nahīñ is sarā-e-fānī meñ
koī charāġh bujhā ye sadā lagāte hue
kisi KHayal ki rau mein tha muskuraate hue
magar wo chaunk paDa tha nazar milate hue
chamak thi ek pas-e-diwar saiqa-bar-dosh
ki taq o dar the shab-e-mah mein nahate hue
magar nawishta-e-diwar la-zawali hai
zamana karwaTen leta hai aate jate hue
kabhi kabhi koi lamha bhi jawedani hai
guzar gain kai sadiyan yahi sunate hue
jo rah gaya tha kahin ek sahab-e-na-rafta
bikhar ke KHak hua panw laDkhaDate hue
main Dagmagaya to sahil ka tha na maujon ka
chamak rahi thi nadi aasman uDate hue
zara si raushni phuTi to subh-dam suraj
faza mein Dub gaya aastin chaDhate hue
koi kisi ka nahin is sara-e-fani mein
koi charagh bujha ye sada lagate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.