kisi KHayal ki surat mein ab guman se nikal
kisī ḳhayāl kī sūrat meñ ab gumāñ se nikal
suḳhan kā tiir hai to hoñT kī kamāñ se nikal
kabhī to mujh ko mire aks tak rasā.ī de
ai aa.ine tū kisī roz darmiyāñ se nikal
chhupe hue koī manzar mirī nigāh meñ aa
ai koī an-kahe misre mirī zabāñ se nikal
tire sivā bhī bahut log muntazir haiñ mire
so apnī choT lagā aur dāstāñ se nikal
mire nasīb ke taare kahīñ fazāoñ meñ mil
maiñ chal paḌā huuñ zamīñ se tū āsmāñ se nikal
kisi KHayal ki surat mein ab guman se nikal
suKHan ka tir hai to honT ki kaman se nikal
kabhi to mujh ko mere aks tak rasai de
ai aaine tu kisi roz darmiyan se nikal
chhupe hue koi manzar meri nigah mein aa
ai koi an-kahe misre meri zaban se nikal
tere siwa bhi bahut log muntazir hain mere
so apni choT laga aur dastan se nikal
mere nasib ke tare kahin fazaon mein mil
main chal paDa hun zamin se tu aasman se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.