kisi KHayal ko ashaar mein pirote hue
kisī ḳhayāl ko ash.ār meñ pirote hue
sisak rahā thā maiñ kāġhaz pe harf bote hue
mujhe ye ġham nahīñ mahfil meñ ho ke tanhā huuñ
mujhe ye dukh hai maiñ tanhā huuñ tere hote hue
ajiib ḳhvāb dikhā.ī diyā mujhe kal shab
maiñ haḌbaḌā ke uThā Dar rahā thā sote hue
vahī jo mujh ko qasam detā thā na rone kī
mujhe vo chhoḌ gayā āstīñ bhigote hue
ye mashvara hai mire dost rakh ḳhayāl apnā
kahīñ tū Duub na jaanā mujhe Dubote hue
kisi KHayal ko ashaar mein pirote hue
sisak raha tha main kaghaz pe harf bote hue
mujhe ye gham nahin mahfil mein ho ke tanha hun
mujhe ye dukh hai main tanha hun tere hote hue
ajib KHwab dikhai diya mujhe kal shab
main haDbaDa ke uTha Dar raha tha sote hue
wahi jo mujh ko qasam deta tha na rone ki
mujhe wo chhoD gaya aastin bhigote hue
ye mashwara hai mere dost rakh KHayal apna
kahin tu Dub na jaana mujhe Dubote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.