kisi KHayal mein khone ki justuju to karo
kisī ḳhayāl meñ khone kī justujū to karo
kisī se milne kī pahle kuchh aarzū to karo
harīf kis liye ḳhā.if haiñ kyoñ vo bad-zan haiñ
unheñ bulāo kabhī un se guftugū to karo
raheñge raah meñ sang-e-girāñ na dīvāreñ
amal ke jazba ko thoḌā sā jañg-jū to karo
hayāt dhuup bhī hai bādaloñ kā saaya bhī
vo koī haal ho jiine kī aarzū to karo
ḳhizāñ kā daur ḳhizāñ-dīda kyoñ banāte ho
tum aise daur meñ kuchh zikr-e-rang-o-bū to karo
tumhārī zaat ke bhī tum se kuchh taqāze haiñ
huā hai chaak jo dāman use rafū to karo
kuchh aur vus.at-e-qalb-o-nazar zarūrī hai
kuchh aur ġham bhī abhī dil ke rū-ba-rū to karo
na kaam aa.e to behtar hai jazba-e-nafrat
jo kaam lenā hai jazbe ko nek-ḳhū to karo
kisi KHayal mein khone ki justuju to karo
kisi se milne ki pahle kuchh aarzu to karo
harif kis liye KHaif hain kyon wo bad-zan hain
unhen bulao kabhi un se guftugu to karo
rahenge rah mein sang-e-giran na diwaren
amal ke jazba ko thoDa sa jang-ju to karo
hayat dhup bhi hai baadalon ka saya bhi
wo koi haal ho jine ki aarzu to karo
KHizan ka daur KHizan-dida kyon banate ho
tum aise daur mein kuchh zikr-e-rang-o-bu to karo
tumhaari zat ke bhi tum se kuchh taqaze hain
hua hai chaak jo daman use rafu to karo
kuchh aur wusat-e-qalb-o-nazar zaruri hai
kuchh aur gham bhi abhi dil ke ru-ba-ru to karo
na kaam aae to behtar hai jazba-e-nafrat
jo kaam lena hai jazbe ko nek-KHu to karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.