kisi KHushi ka mere dil ko etibar na de
kisī ḳhushī kā mire dil ko e'tibār na de
jo e'tibār agar de to be-shumār na de
rasan ho ruuh ko aur paañv kī bane zanjīr
kisī nigāh ko ab mujh pe iḳhtiyār na de
amaañ meñ aa ke bhī jis kī maiñ be-amān rahūñ
kisī bhī aisī nazar kā mujhe hisār na de
maiñ tere fan kī go taḳhlīq-e-be-bahā hī sahī
de iftiḳhār mujhe zo'm-e-iftiḳhār na de
bhalā bahut hai mohabbat meñ dard-e-māyūsī
ḳhudā kisī ko kabhī zaḳhm-e-intizār na de
kisi KHushi ka mere dil ko e'tibar na de
jo e'tibar agar de to be-shumar na de
rasan ho ruh ko aur panw ki bane zanjir
kisi nigah ko ab mujh pe iKHtiyar na de
aman mein aa ke bhi jis ki main be-aman rahun
kisi bhi aisi nazar ka mujhe hisar na de
main tere fan ki go taKHliq-e-be-baha hi sahi
de iftiKHar mujhe zo'm-e-iftiKHar na de
bhala bahut hai mohabbat mein dard-e-mayusi
KHuda kisi ko kabhi zaKHm-e-intizar na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.