kisi ki aankh kisi ki zaban se pahle
kisī kī aañkh kisī kī zabān se pahle
vo mujh ko yaad karegā bayān se pahle
har aa.ine ko milegā vo tarjumān badan
jo zaḳhm zaḳhm dikhā de nishān se pahle
hasad kī aag lagī hai mire qabīle meñ
ye log jalne lageñge makān se pahle
maiñ āsmān pe apne qadam banā dūñgā
kisī ne soch liyā thā uḌaan se pahle
qadam qadam kī masāfat ne 'umr māñgī thī
maiñ apnī jaan luTātā thā jaan se pahle
kisi ki aankh kisi ki zaban se pahle
wo mujh ko yaad karega bayan se pahle
har aaine ko milega wo tarjuman badan
jo zaKHm zaKHm dikha de nishan se pahle
hasad ki aag lagi hai mere qabile mein
ye log jalne lagenge makan se pahle
main aasman pe apne qadam bana dunga
kisi ne soch liya tha uDan se pahle
qadam qadam ki masafat ne 'umr mangi thi
main apni jaan luTata tha jaan se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.