kisi ki aankh mein pani nahin hai
kisī kī aañkh meñ paanī nahīñ hai
magar logoñ ko hairānī nahīñ hai
fanā honā hai sab ko ik na ik din
yahāñ par koī lā-fānī nahīñ hai
bachātā hai balā se kaun mujh ko
agar terī nigahbānī nahīñ hai
ḳhudā ko chhoḌ kar auroñ se māñgūñ
koī itnā baḌā daanī nahīñ hai
abhī dil meñ tasavvur hai tumhārā
abhī is ghar meñ vīrānī nahīñ hai
kisi ki aankh mein pani nahin hai
magar logon ko hairani nahin hai
fana hona hai sab ko ek na ek din
yahan par koi la-fani nahin hai
bachata hai bala se kaun mujh ko
agar teri nigahbani nahin hai
KHuda ko chhoD kar auron se mangun
koi itna baDa dani nahin hai
abhi dil mein tasawwur hai tumhaara
abhi is ghar mein virani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.