kisi ki aankh mein shabnam talash karta hun
kisi ki aankh mein shabnam talash karta hun
Ashvini Kumar Tripathi
MORE BYAshvini Kumar Tripathi
kisī kī aañkh meñ shabnam talāsh kartā huuñ
kahīñ pe hijr kā mausam talāsh kartā huuñ
mere vujūd meñ jab se samā gayā hai tū
maiñ ḳhud ko ḳhud meñ bahut kam talāsh kartā huuñ
jo zaḳhm tū ne diye un ko paal rakkhā hai
na chārāgar na hī marham talāsh kartā huuñ
tirī zabāñ pe chaḌhe maiñ se thak chukā huuñ maiñ
har ek lafz meñ ab ham talāsh kartā huuñ
kisi ki aankh mein shabnam talash karta hun
kahin pe hijr ka mausam talash karta hun
mere wujud mein jab se sama gaya hai tu
main KHud ko KHud mein bahut kam talash karta hun
jo zaKHm tu ne diye un ko pal rakkha hai
na chaaragar na hi marham talash karta hun
teri zaban pe chaDhe main se thak chuka hun main
har ek lafz mein ab hum talash karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.