kisi ki aankhon mein behad hasin manzar tha
kisī kī āñkhoñ meñ behad hasīn manzar thā
mirā badan thā jazīra vo ik samundar thā
vo jalte pañkh liye baḌh rahā thā merī taraf
mirī ragoñ meñ Thahartā huā december thā
jo ek jugnū sā bujhtā rahā damaktā rahā
vo ajnabī to shanāsāoñ se bhī behtar thā
barā.e naam to paanī thā us ke chāroñ taraf
magar jo Thahrā to sahrā meñ vo shanāvar thā
ajiib baat batā.ī hai jugnuoñ ne hameñ
vo būḌhā sādhū nahīñ ḳhaufnāk ḳhanjar thā
'kañval' thī tez havā.eñ mire ta.āqub meñ
maiñ apne vaqt kā jaltā huā calendar thā
kisi ki aankhon mein behad hasin manzar tha
mera badan tha jazira wo ek samundar tha
wo jalte pankh liye baDh raha tha meri taraf
meri ragon mein Thaharta hua december tha
jo ek jugnu sa bujhta raha damakta raha
wo ajnabi to shanasaon se bhi behtar tha
barae nam to pani tha us ke chaaron taraf
magar jo Thahra to sahra mein wo shanawar tha
ajib baat batai hai jugnuon ne hamein
wo buDha sadhu nahin KHaufnak KHanjar tha
'kanwal' thi tez hawaen mere taaqub mein
main apne waqt ka jalta hua calendar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.