kisi ki aankhon se apna chehra nikalna hai
kisī kī āñkhoñ se apnā chehra nikālnā hai
nadī ke paanī se ḳhud ko pyāsā nikālnā hai
use kaho tum ki Dor rishtoñ kī sīdhī rakkhe
mohabbatoñ kī zamīñ kā raqba nikālnā hai
jo mustahiq ho hamāre dil kā qarīb aa.e
qazā se pahle badan kā sadqa nikālnā hai
haTo ki raste nikālne haiñ pahāḌiyoñ se
ruko ki pairoñ se ek kāñTā nikālnā hai
tamām rāhoñ kī donoñ jānib bichhā do patthar
musāfiroñ ko safar kā ġhussa nikālnā hai
isī ġharaz se maiñ ḳhud ko aksar TaToltā huuñ
kahāñ pe kis kā hai kitnā hissa nikālnā hai
vo ik zamāne ke baa'd dekhegā ro paḌegā
mujhe purānā bas ek kurtā nikālnā hai
kisī kī cigarette usī kī sāzish meñ jal rahī hai
na.e makāñ se purānā huqqa nikālnā hai
kisi ki aankhon se apna chehra nikalna hai
nadi ke pani se KHud ko pyasa nikalna hai
use kaho tum ki Dor rishton ki sidhi rakkhe
mohabbaton ki zamin ka raqba nikalna hai
jo mustahiq ho hamare dil ka qarib aae
qaza se pahle badan ka sadqa nikalna hai
haTo ki raste nikalne hain pahaDiyon se
ruko ki pairon se ek kanTa nikalna hai
tamam rahon ki donon jaanib bichha do patthar
musafiron ko safar ka ghussa nikalna hai
isi gharaz se main KHud ko aksar TaTolta hun
kahan pe kis ka hai kitna hissa nikalna hai
wo ek zamane ke ba'd dekhega ro paDega
mujhe purana bas ek kurta nikalna hai
kisi ki cigarette usi ki sazish mein jal rahi hai
nae makan se purana huqqa nikalna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.