kisi ki aarzuen ab bhi hum mein raqs karti hain
kisī kī ārzūeñ ab bhī ham meñ raqs kartī haiñ
sunahrī machhliyāñ aquarium meñ raqs kartī haiñ
koī tūfāñ dabā paatā nahīñ dil kī sadāoñ ko
ye jal-pariyāñ to āb-e-yam-ba-yam meñ raqs kartī haiñ
hamārī ulfatoñ ko aap ne halkā nahīñ lenā
ba rang-e-hast bhī ḳhvāb-e-adam meñ raqs kartī haiñ
ye paiġhāmāt pahuñchātī haiñ tum tak mere maulā ke
agar chiḌiyāñ tumhāre āshram meñ raqs kartī haiñ
maiñ un par chal ke bhī kyoñ manziloñ kā ho nahīñ paayā
jo rāheñ zindagī ke pech-o-ḳham meñ raqs kartī haiñ
tirī yādeñ to jaise ban ga.ī haiñ dhaḌkaneñ pyāre
ye raqqāsā.eñ bhī dil ke haram meñ raqs kartī haiñ
niyām-e-maslahat meñ rah ke jin ko zang lagtā hai
vahī talvāreñ lahrāte alam meñ raqs kartī haiñ
umīdeñ sīna-e-ḳhanjar pe chal kar bhī nahīñ ruktīñ
ye hasrat ban ke bhī jaise iram meñ raqs kartī haiñ
tumhāre hijr kī ġhazleñ tumhāre vasl kī nazmeñ
diloñ meñ thartharātī haiñ qalam meñ raqs kartī haiñ
kisi ki aarzuen ab bhi hum mein raqs karti hain
sunahri machhliyan aquarium mein raqs karti hain
koi tufan daba pata nahin dil ki sadaon ko
ye jal-pariyan to aab-e-yam-ba-yam mein raqs karti hain
hamari ulfaton ko aap ne halka nahin lena
ba rang-e-hast bhi KHwab-e-adam mein raqs karti hain
ye paighamat pahunchati hain tum tak mere maula ke
agar chiDiyan tumhaare aashram mein raqs karti hain
main un par chal ke bhi kyon manzilon ka ho nahin paya
jo rahen zindagi ke pech-o-KHam mein raqs karti hain
teri yaaden to jaise ban gai hain dhaDkanen pyare
ye raqqasaen bhi dil ke haram mein raqs karti hain
niyam-e-maslahat mein rah ke jin ko zang lagta hai
wahi talwaren lahraate alam mein raqs karti hain
umiden sina-e-KHanjar pe chal kar bhi nahin ruktin
ye hasrat ban ke bhi jaise iram mein raqs karti hain
tumhaare hijr ki ghazlen tumhaare wasl ki nazmen
dilon mein thartharaati hain qalam mein raqs karti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.