kisi ki baat nahin thi lakir patthar ki
kisī kī baat nahīñ thī lakīr patthar kī
ham aise ho ga.e kaise nazīr patthar kī
to chup kiyā tire baare meñ pūchh kar us ko
batā rahā thā fazīlat faqīr patthar kī
badalte mausamoñ kā ham pe kuchh asar hī nahīñ
hamārī ruuh hai jaise asiir patthar kī
hamāre daur kā har rāñjhā but-parast hai 'rāz'
hamāre daur kī har ek hiir patthar kī
kisi ki baat nahin thi lakir patthar ki
hum aise ho gae kaise nazir patthar ki
to chup kiya tere bare mein puchh kar us ko
bata raha tha fazilat faqir patthar ki
badalte mausamon ka hum pe kuchh asar hi nahin
hamari ruh hai jaise asir patthar ki
hamare daur ka har ranjha but-parast hai 'raaz'
hamare daur ki har ek hir patthar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.