kisi ki bewafai par bahut socha nahin karte
kisī kī bevafā.ī par bahut sochā nahīñ karte
chalo uTTho miyāñ ab dil ko yuuñ chhoTā nahīñ karte
chaman-zāroñ meñ rahne ke bhī kuchh ādāb hote haiñ
ġhalat nazroñ se phūloñ kī taraf dekhā nahīñ karte
kabhī aisā bhī hotā hai safīne haar jaate haiñ
magar kachche ghaḌe ko choT tak dariyā nahīñ karte
ḳhudā jaane jo umreñ nuuh sī hotīñ to kyā hotā
zarā sī zindagī hai aur ham kyā kyā nahīñ karte
hamāre rahbaroñ kā hai shumār ab un daraḳhtoñ meñ
jo ḳhud shādāb rahte haiñ magar saaya nahīñ karte
kisi ki bewafai par bahut socha nahin karte
chalo uTTho miyan ab dil ko yun chhoTa nahin karte
chaman-zaron mein rahne ke bhi kuchh aadab hote hain
ghalat nazron se phulon ki taraf dekha nahin karte
kabhi aisa bhi hota hai safine haar jate hain
magar kachche ghaDe ko choT tak dariya nahin karte
KHuda jaane jo umren nuh si hotin to kya hota
zara si zindagi hai aur hum kya kya nahin karte
hamare rahbaron ka hai shumar ab un daraKHton mein
jo KHud shadab rahte hain magar saya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.