kisi ki bewafai se kisi ko Thes lagti hai
kisī kī bevafā.ī se kisī ko Thes lagtī hai
yaqīnan zindagī se zindagī ko Thes lagtī hai
hamārā kyā hai ham ik jaam hī par sabr kar leñge
magar saaqī tirī dariyā-dilī ko Thes lagtī hai
maiñ dāġh-e-dil se duniyā ko munavvar kar to saktā huuñ
magar ai chāñd terī chāñdnī ko Thes lagtī hai
ajab dastūr-e-duniyā hai ki jab aañsū bahātā huuñ
koī masrūr hotā hai kisī ko Thes lagtī hai
jo vāqif hī nahīñ īsār ke pākīza jazbe se
usī kī dostī se dostī ko Thes lagtī hai
isī baa.is maiñ aañsū pī gayā huuñ bārhā ai dil
mire rone se phūloñ kī hañsī ko Thes lagtī hai
bhaTaktā phir rahā ho dar-ba-dar kyā ye bhī sochā hai
mirā kyā terī banda-parvarī ko Thes lagtī hai
ba-vaqt-pursish-e-bīmār-e-ġham ronā nahīñ achchhā
tumhāre āñsuoñ se dil-dahī ko Thes lagtī hai
kabhī ai 'nūr' jalve bā.is-e-tauqīr hote haiñ
kabhī javoñ hī se jalvagarī ko Thes lagtī hai
kisi ki bewafai se kisi ko Thes lagti hai
yaqinan zindagi se zindagi ko Thes lagti hai
hamara kya hai hum ek jam hi par sabr kar lenge
magar saqi teri dariya-dili ko Thes lagti hai
main dagh-e-dil se duniya ko munawwar kar to sakta hun
magar ai chand teri chandni ko Thes lagti hai
ajab dastur-e-duniya hai ki jab aansu bahata hun
koi masrur hota hai kisi ko Thes lagti hai
jo waqif hi nahin isar ke pakiza jazbe se
usi ki dosti se dosti ko Thes lagti hai
isi bais main aansu pi gaya hun barha ai dil
mere rone se phulon ki hansi ko Thes lagti hai
bhaTakta phir raha ho dar-ba-dar kya ye bhi socha hai
mera kya teri banda-parwari ko Thes lagti hai
ba-waqt-pursish-e-bimar-e-gham rona nahin achchha
tumhaare aansuon se dil-dahi ko Thes lagti hai
kabhi ai 'nur' jalwe bais-e-tauqir hote hain
kabhi jawon hi se jalwagari ko Thes lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.