kisi ki bhi jaanib na hum dekhte hain
kisī kī bhī jānib na ham dekhte haiñ
bas un kī nigāh-e-karam dekhte haiñ
ki husn-e-mujassam kī rā'nā.iyoñ ko
yuuñ hairat se ahl-e-iram dekhte haiñ
jabīñ sajda kartī hai paiham hamārī
jahāñ tere naqsh-e-qadam dekhte haiñ
rah-e-'ishq meñ log aane se pahle
shikasta diloñ ke alam dekhte haiñ
'ajab ranjisheñ haiñ ki ye kaifiyat hai
na vo dekhte haiñ na ham dekhte haiñ
kisi ki bhi jaanib na hum dekhte hain
bas un ki nigah-e-karam dekhte hain
ki husn-e-mujassam ki ra'naiyon ko
yun hairat se ahl-e-iram dekhte hain
jabin sajda karti hai paiham hamari
jahan tere naqsh-e-qadam dekhte hain
rah-e-'ishq mein log aane se pahle
shikasta dilon ke alam dekhte hain
'ajab ranjishen hain ki ye kaifiyat hai
na wo dekhte hain na hum dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.