kisi ki chahat kisi se baDh kar hamare jaise samajh rahe hain
kisī kī chāhat kisī se baḌh kar hamāre jaise samajh rahe haiñ
huā samundar meñ jazb dariyā kyoñ ishq vaale samajh rahe haiñ
ġham-e-mohabbat taḌap udāsī ko aap sachche samajh na paa.e
hamārī hālat hamāre jaise kuchh ek jhūTe samajh rahe haiñ
ye mas.ala bhī hamārī jānib jahāñ se dīgar hī pesh aayā
vo ishq ham se kareñge rishta nahīñ kareñge samajh rahe haiñ
vo bad-havāsī meñ chīḳhte haiñ nahīñ mohabbat nahīñ hai tum se
yaqīñ hameñ is tarah se aa hī gayā ho jaise samajh rahe haiñ
jahāñ kī mahfil meñ apnī qīmat hai jaise sahrā meñ koī dariyā
to jin ko qīmat nahīñ hai ham ko vo ret saare samajh rahe haiñ
uThā rahe haiñ tumhāre misre sunā rahe haiñ ġhazal tumhārī
tumheñ samajhnā thā qismat-e-bad hai kaise kaise samajh rahe haiñ
kisi ki chahat kisi se baDh kar hamare jaise samajh rahe hain
hua samundar mein jazb dariya kyon ishq wale samajh rahe hain
gham-e-mohabbat taDap udasi ko aap sachche samajh na pae
hamari haalat hamare jaise kuchh ek jhuTe samajh rahe hain
ye masala bhi hamari jaanib jahan se digar hi pesh aaya
wo ishq hum se karenge rishta nahin karenge samajh rahe hain
wo bad-hawasi mein chiKHte hain nahin mohabbat nahin hai tum se
yaqin hamein is tarah se aa hi gaya ho jaise samajh rahe hain
jahan ki mahfil mein apni qimat hai jaise sahra mein koi dariya
to jin ko qimat nahin hai hum ko wo ret sare samajh rahe hain
uTha rahe hain tumhaare misre suna rahe hain ghazal tumhaari
tumhein samajhna tha qismat-e-bad hai kaise kaise samajh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.