kisi ki chahat mein qaid rahna bura nahin hai to aur kya hai
kisi ki chahat mein qaid rahna bura nahin hai to aur kya hai
Ehya Bhojpuri
MORE BYEhya Bhojpuri
kisī kī chāhat meñ qaid rahnā burā nahīñ hai to aur kyā hai
baġhair khiḌkī ke ghar meñ rahnā sazā nahīñ hai to aur kyā hai
purāne pattoñ ko jhaaḌ denā na.e-naveloñ ko raah denā
ḳhudā ke bande agar ye kār-e-ḳhudā nahīñ hai to aur kyā hai
ḳhud apne kāñdhoñ pe laash uThā.e maiñ dafn hone ko jā rahā huuñ
ye zinda lāshoñ kā āḳhirī marhala nahīñ hai to aur kyā hai
maiñ jab bhī chāhūñ bulā luuñ bādal girā duuñ bārish ugā duuñ gandum
ḳhudā ke lahje meñ baat karnā anā nahīñ hai to aur kyā hai
fasādiyoñ ko tarah tarah se jo aaj ham tum bachā rahe haiñ
munāfiqat kī ye āḳhirī intihā nahīñ hai to aur kyā hai
purāne zaḳhmoñ ko yaad rakhnā kurednā aur namak lagānā
phir us kī yādoñ meñ Duub jaanā nasha nahīñ hai to aur kyā hai
hamārī manzil vahī hai 'ahyā' jahāñ se be-daḳhl ham hue the
to jī ke marnā yā mar ke jiinā sazā nahīñ hai to aur kyā hai
kisi ki chahat mein qaid rahna bura nahin hai to aur kya hai
baghair khiDki ke ghar mein rahna saza nahin hai to aur kya hai
purane patton ko jhaD dena nae-nawelon ko rah dena
KHuda ke bande agar ye kar-e-KHuda nahin hai to aur kya hai
KHud apne kandhon pe lash uThae main dafn hone ko ja raha hun
ye zinda lashon ka aaKHiri marhala nahin hai to aur kya hai
main jab bhi chahun bula lun baadal gira dun barish uga dun gandum
KHuda ke lahje mein baat karna ana nahin hai to aur kya hai
fasadiyon ko tarah tarah se jo aaj hum tum bacha rahe hain
munafiqat ki ye aaKHiri intiha nahin hai to aur kya hai
purane zaKHmon ko yaad rakhna kuredna aur namak lagana
phir us ki yaadon mein Dub jaana nasha nahin hai to aur kya hai
hamari manzil wahi hai 'ahya' jahan se be-daKHl hum hue the
to ji ke marna ya mar ke jina saza nahin hai to aur kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.