kisi ki den hai lekin meri zarurat hai
kisī kī den hai lekin mirī zarūrat hai
junūñ kamāl nahīñ hai kamāl-e-vahshat hai
maiñ zindagī ke sabhī ġham bhulā.e baiThā huuñ
tumhāre ishq se kitnī mujhe sahūlat hai
guzar ga.ī hai magar roz yaad aatī hai
vo ek shaam jise bhūlne kī hasrat hai
zamāne vaale to shāyad nahīñ kisī qābil
jo miltā rahtā huuñ un se mirī muravvat hai
havā bahār kī aa.egī aur maiñ chūmūñgā
vo saare phuul ki jin meñ tirī shabāhat hai
ḳhudā rakhe tirī āñkhoñ kī dil-navāzī ko
tirī nigāh mirī umr bhar kī daulat hai
tire baġhair bujhā jā rahā huuñ andar se
jo Thīk-Thāk huuñ bāhar se to ye aadat hai
jo ho sake to mujhe apne paas rakh lenā
tirā visāl to ik sānvī sa.ādat hai
tire baġhair koī kaise zinda rahtā hai
magar maiñ huuñ ki yahī ishq kī rivāyat hai
kisi ki den hai lekin meri zarurat hai
junun kamal nahin hai kamal-e-wahshat hai
main zindagi ke sabhi gham bhulae baiTha hun
tumhaare ishq se kitni mujhe sahulat hai
guzar gai hai magar roz yaad aati hai
wo ek sham jise bhulne ki hasrat hai
zamane wale to shayad nahin kisi qabil
jo milta rahta hun un se meri murawwat hai
hawa bahaar ki aaegi aur main chumunga
wo sare phul ki jin mein teri shabahat hai
KHuda rakhe teri aankhon ki dil-nawazi ko
teri nigah meri umr bhar ki daulat hai
tere baghair bujha ja raha hun andar se
jo Thik-Thak hun bahar se to ye aadat hai
jo ho sake to mujhe apne pas rakh lena
tera visal to ek sanwi saadat hai
tere baghair koi kaise zinda rahta hai
magar main hun ki yahi ishq ki riwayat hai
- Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 36)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.