kisi ki dil mein jab chahat nahin thi
kisī kī dil meñ jab chāhat nahīñ thī
sitam sahnā mirī 'ādat nahīñ thī
mujhe ai kaash un kā pyaar miltā
magar aisī mirī qismat nahīñ thī
baḌhe kuchh fāsle aise ki jaise
hamāre darmiyāñ qurbat nahīñ thī
mohabbat raas bhī aatī to kaise
unheñ mujh se koī raġhbat nahīñ thī
falak thā us ghaḌī qurbān mujh par
mujhe shohrat kī jab chāhat nahīñ thī
jahāñ the māl-o-daulat ke pujārī
vahāñ dekhā gayā ġhairat nahīñ thī
gayā duniyā se ye kah kar sikandar
yahāñ apnī koī daulat nahīñ thī
hameñ 'jāved' kyoñ ġhurbat kā ho ġham
amīrī meñ bhī kuchh rāhat nahīñ thī
kisi ki dil mein jab chahat nahin thi
sitam sahna meri 'adat nahin thi
mujhe ai kash un ka pyar milta
magar aisi meri qismat nahin thi
baDhe kuchh fasle aise ki jaise
hamare darmiyan qurbat nahin thi
mohabbat ras bhi aati to kaise
unhen mujh se koi raghbat nahin thi
falak tha us ghaDi qurban mujh par
mujhe shohrat ki jab chahat nahin thi
jahan the mal-o-daulat ke pujari
wahan dekha gaya ghairat nahin thi
gaya duniya se ye kah kar sikandar
yahan apni koi daulat nahin thi
hamein 'jawed' kyon ghurbat ka ho gham
amiri mein bhi kuchh rahat nahin thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.