kisi ki duri ka ehsas kyun dilati hai
kisī kī duurī kā ehsās kyuuñ dilātī hai
ajab hai chāñdnī mujh ko bahut satātī hai
maiñ is ḳhayāl se tanhā safar pe niklā huuñ
kabhī to raah bhī ḳhud rāsta dikhātī hai
kisī kā lahja koī baat chhoTī saada sī
kabhī kabhī to bahut dard de ke jaatī hai
maiñ tere ḳhvāb liye raat bhar Tahaltā huuñ
mujhe batā ki tujhe kaise niiñd aatī hai
tum apne aage kisī aur ko na samjho kuchh
koī kitāb ye tahzīb kab sikhātī hai
anā kī zid pe hue jab kabhī savār 'aslam'
kisī kī baat kahāñ kab samajh meñ aatī hai
kisi ki duri ka ehsas kyun dilati hai
ajab hai chandni mujh ko bahut satati hai
main is KHayal se tanha safar pe nikla hun
kabhi to rah bhi KHud rasta dikhati hai
kisi ka lahja koi baat chhoTi sada si
kabhi kabhi to bahut dard de ke jati hai
main tere KHwab liye raat bhar Tahalta hun
mujhe bata ki tujhe kaise nind aati hai
tum apne aage kisi aur ko na samjho kuchh
koi kitab ye tahzib kab sikhati hai
ana ki zid pe hue jab kabhi sawar 'aslam'
kisi ki baat kahan kab samajh mein aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.