kisi ki har nishani KHatm kar di
kisī kī har nishānī ḳhatm kar dī
adhūrī ik kahānī ḳhatm kar dī
aham kirdār maiñ lagne lagā jab
musannif ne kahānī ḳhatm kar dī
ta.alluq meñ zarūrī guftugū thī
tabhī to be-zabānī ḳhatm kar dī
chaman meñ bāġhbāñ kī sāzishoñ ne
mahaktī rāt-rānī ḳhatm kar dī
javānī ko bachāne meñ musalsal
bharī-pūrī javānī ḳhatm kar dī
kisi ki har nishani KHatm kar di
adhuri ek kahani KHatm kar di
aham kirdar main lagne laga jab
musannif ne kahani KHatm kar di
talluq mein zaruri guftugu thi
tabhi to be-zabani KHatm kar di
chaman mein baghban ki sazishon ne
mahakti raat-rani KHatm kar di
jawani ko bachane mein musalsal
bhari-puri jawani KHatm kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.