kisi ki KHamiyon ka tazkira nahin karte
kisī kī ḳhāmiyoñ kā tazkira nahīñ karte
yuuñ apne aap ko chhoTā kiyā nahīñ karte
safar meñ kitne hī logoñ se ham yuuñ milte haiñ
sabhī se hī to magar dil milā nahīñ karte
hameñ bhī dard to hotā hai be-ruḳhī se tirī
ye aur baat hai ki ham gila nahīñ karte
isī meñ behtarī hai saadh lījiye chuppī
nadī meñ rah ke magar se laḌā nahīñ karte
kabhī to maan liyā kījiye hamārā bhī
har ek baat pe itnā uḌā nahīñ karte
zarūr koī to hotī hai ḳhāsiyat un meñ
yūñhī to log diloñ meñ basā nahīñ karte
ye mushkileñ bhī zarūrī haiñ raah meñ 'madhuman'
baġhair dhuup ke to gul khilā nahīñ karte
kisi ki KHamiyon ka tazkira nahin karte
yun apne aap ko chhoTa kiya nahin karte
safar mein kitne hi logon se hum yun milte hain
sabhi se hi to magar dil mila nahin karte
hamein bhi dard to hota hai be-ruKHi se teri
ye aur baat hai ki hum gila nahin karte
isi mein behtari hai sadh lijiye chuppi
nadi mein rah ke magar se laDa nahin karte
kabhi to man liya kijiye hamara bhi
har ek baat pe itna uDa nahin karte
zarur koi to hoti hai KHasiyat un mein
yunhi to log dilon mein basa nahin karte
ye mushkilen bhi zaruri hain rah mein 'madhuman'
baghair dhup ke to gul khila nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.