kisi ki nabz pe is tarah ungliyan rakh de
kisī kī nabz pe is tarah uñgliyāñ rakh de
ki tere sāmne vo dil kī dāstāñ rakh de
maiñ zaḳhm zaḳhm badan ko chhupā.ūñ kis kis se
ḳhudā ke vāste tū haath se kamāñ rakh de
tū ek baar mujhe dharne de zamīñ pe qadam
phir us ke baa'd mire sar pe āsmāñ rakh de
jo dekhnā hai mirī ruuh kī tavānā.ī
to mere jism ko sho.aloñ ke darmiyāñ rakh de
uThā sake na agar koī bhī zamīr kā bojh
mire hī dosh pe ye bār-e-do-jahāñ rakh de
ḳhudā kī den kī kyā baat hai jo vo chāhe
dahān-e-sañg meñ bhī phuul kī zabāñ rakh de
kisi ki nabz pe is tarah ungliyan rakh de
ki tere samne wo dil ki dastan rakh de
main zaKHm zaKHm badan ko chhupaun kis kis se
KHuda ke waste tu hath se kaman rakh de
tu ek bar mujhe dharne de zamin pe qadam
phir us ke ba'd mere sar pe aasman rakh de
jo dekhna hai meri ruh ki tawanai
to mere jism ko shoalon ke darmiyan rakh de
uTha sake na agar koi bhi zamir ka bojh
mere hi dosh pe ye bar-e-do-jahan rakh de
KHuda ki den ki kya baat hai jo wo chahe
dahan-e-sang mein bhi phul ki zaban rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.