kisi ki purshish-e-gham bar ho gai hogi
kisī kī purshish-e-ġham baar ho ga.ī hogī
tamām dukh hama āzār ho ga.ī hogī
shadīd maut kī yalġhār ho ga.ī hogī
hayāt ret kī dīvār ho ga.ī hogī
vo ek chiiz sharāfat se jo ibārat hai
hamārī raat kī dīvār ho ga.ī hogī
hadīs-e-dil lab-e-iz.hār ke tavassut se
hadīs-e-kūcha-o-bāzār ho ga.ī hogī
tabī.at apnī jo āzār se nahīñ bhartī
harīs-e-lazzat-e-āzār ho ga.ī hogī
uThī jo hogī kabhī dil se koī dard kī lahar
harīf-e-dīda-e-ḳhūñ-bār ho ga.ī hogī
jo ham pe sāya-e-adbār hai to sust zarūr
hamāre kaam kī raftār ho ga.ī hogī
ye zillatoñ kī jo bhar-mār hai to apnī ḳhatā
usī sazā kī sazā-vār ho ga.ī hogī
javāb meñ mirī kotāh-dastiyoñ ke 'zafar'
buland aur vo dīvār ho ga.ī hogī
kisi ki purshish-e-gham bar ho gai hogi
tamam dukh hama aazar ho gai hogi
shadid maut ki yalghaar ho gai hogi
hayat ret ki diwar ho gai hogi
wo ek chiz sharafat se jo ibarat hai
hamari raat ki diwar ho gai hogi
hadis-e-dil lab-e-izhaar ke tawassut se
hadis-e-kucha-o-bazar ho gai hogi
tabiat apni jo aazar se nahin bharti
haris-e-lazzat-e-azar ho gai hogi
uThi jo hogi kabhi dil se koi dard ki lahar
harif-e-dida-e-KHun-bar ho gai hogi
jo hum pe saya-e-adbar hai to sust zarur
hamare kaam ki raftar ho gai hogi
ye zillaton ki jo bhar-mar hai to apni KHata
usi saza ki saza-war ho gai hogi
jawab mein meri kotah-dastiyon ke 'zafar'
buland aur wo diwar ho gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.