kisi ki qaid se aazad ho ke rah gae hain
kisī kī qaid se āzād ho ke rah ga.e haiñ
tabāh ho ga.e barbād ho ke rah ga.e haiñ
ab aur kyā ho tamannā-e-vasl kā anjām
dil o dimāġh tirī yaad ho ke rah ga.e haiñ
kaheñ to qissa-e-ahvāl muḳhtasar ye hai
ham apne ishq kī rūdād ho ke rah ga.e haiñ
kisī kī yaad diloñ kā qarār Thahrī hai
kisī ke zikr se dil shaad ho ke rah ga.e haiñ
tire huzūr jo rashk-e-bahār the 'ajmal'
ḳharāb-o-ḳhvār tire ba.ad ho ke rah ga.e haiñ
kisi ki qaid se aazad ho ke rah gae hain
tabah ho gae barbaad ho ke rah gae hain
ab aur kya ho tamanna-e-wasl ka anjam
dil o dimagh teri yaad ho ke rah gae hain
kahen to qissa-e-ahwal muKHtasar ye hai
hum apne ishq ki rudad ho ke rah gae hain
kisi ki yaad dilon ka qarar Thahri hai
kisi ke zikr se dil shad ho ke rah gae hain
tere huzur jo rashk-e-bahaar the 'ajmal'
KHarab-o-KHwar tere baad ho ke rah gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.