kisi ki rah ka patthar haTa raha hun abhi
kisī kī raah kā patthar haTā rahā huuñ abhī
safar ko aur bhī mushkil banā rahā huuñ abhī
use ye jaan kar achchhā bahut lagegā magar
maiñ us kī yaad meñ sab kuchh bhulā rahā huuñ abhī
maiñ saath apne hī saa.e kā chhoḌ duuñ na kahīñ
ki sar pe dhuup ġhamoñ kī uThā rahā huuñ abhī
hayāt tū bhī to dhoke se kam nahīñ lekin
fareb tere liye sab se khā rahā huuñ abhī
maiñ āñdhiyoñ se Darā kab ki aaj ghabrā.ūñ
to phir diye se diye kyuuñ jalā rahā huuñ abhī
mujhe paḌhe to koī kis tarah paḌhe 'bebāk'
maiñ ḳhud ko aab pe likh kar miTā rahā huuñ abhī
kisi ki rah ka patthar haTa raha hun abhi
safar ko aur bhi mushkil bana raha hun abhi
use ye jaan kar achchha bahut lagega magar
main us ki yaad mein sab kuchh bhula raha hun abhi
main sath apne hi sae ka chhoD dun na kahin
ki sar pe dhup ghamon ki uTha raha hun abhi
hayat tu bhi to dhoke se kam nahin lekin
fareb tere liye sab se kha raha hun abhi
main aandhiyon se Dara kab ki aaj ghabraun
to phir diye se diye kyun jala raha hun abhi
mujhe paDhe to koi kis tarah paDhe 'bebak'
main KHud ko aab pe likh kar miTa raha hun abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.