kisi ki sham-e-sadgi sahar ka rang pa gai
kisī kī shām-e-sādgī sahar kā rañg pā ga.ī
sabā ke paañv thak ga.e magar bahār aa ga.ī
chaman kī jashn-gāh meñ udāsiyāñ bhī kam na thiiñ
jalī jo koī sham-e-gul kalī kā dil bujhā ga.ī
butān-e-rañg-rañg se bhare the but-kade magar
terī adā-e-sādgī mirī nazar ko bhā ga.ī
merī nigāh-e-tishna-lab kī sarḳhushī na pūchhiye
ke jab uThī nigāh-e-nāz pī ga.ī pilā ga.ī
ḳhizāñ kā daur hai magar vo is adā se aa.e haiñ
bahār 'darshan'-e-hazīñ kī zindagī pe chhā ga.ī
kisi ki sham-e-sadgi sahar ka rang pa gai
saba ke panw thak gae magar bahaar aa gai
chaman ki jashn-gah mein udasiyan bhi kam na thin
jali jo koi sham-e-gul kali ka dil bujha gai
butan-e-rang-rang se bhare the but-kade magar
teri ada-e-sadgi meri nazar ko bha gai
meri nigah-e-tishna-lab ki sarKHushi na puchhiye
ke jab uThi nigah-e-naz pi gai pila gai
KHizan ka daur hai magar wo is ada se aae hain
bahaar 'darshan'-e-hazin ki zindagi pe chha gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.