kisi ki yaad phir lahra gai to
kisī kī yaad phir lahrā ga.ī to
bas ik pal meñ qayāmat aa ga.ī to
churā.e phirtā hai tū aañkh mujh se
nazar se gar nazar Takrā ga.ī to
nazar se dekhte ho chāhatoñ kī
mere chehre pe surḳhī chhā ga.ī to
abhī to kāñptā hai jism Dar se
hamārī ruuh bhī tharrā ga.ī to
buzurgoñ kī hidāyat saath rakhiye
kabhī jo zindagī bal khā ga.ī to
fasāna zindagī kā kyā sunoge
mirī āñkhoñ meñ badlī chhā ga.ī to
abhī dam lene ko Thahrūñ maiñ kaise
safar meñ phir thakāvaT aa ga.ī to
kisi ki yaad phir lahra gai to
bas ek pal mein qayamat aa gai to
churae phirta hai tu aankh mujh se
nazar se gar nazar Takra gai to
nazar se dekhte ho chahaton ki
mere chehre pe surKHi chha gai to
abhi to kanpta hai jism Dar se
hamari ruh bhi tharra gai to
buzurgon ki hidayat sath rakhiye
kabhi jo zindagi bal kha gai to
fasana zindagi ka kya sunoge
meri aankhon mein badli chha gai to
abhi dam lene ko Thahrun main kaise
safar mein phir thakawaT aa gai to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.