kisi ki tum dil-azari na karna
kisī kī tum dil-āzārī na karnā
mohabbat meñ adākārī na karnā
mirī fitrat vafā par jaan denā
tirā sheva vafādārī na karnā
agar andar hī andar mar chuke ho
to jiine kī adākārī na karnā
nibhāne ke liye hote nahīñ ye
koī va.ada bhī sarkārī na karnā
faqīroñ kī hukūmat hai diloñ par
kabhī ham par tū sardārī na karnā
kisi ki tum dil-azari na karna
mohabbat mein adakari na karna
meri fitrat wafa par jaan dena
tera shewa wafadari na karna
agar andar hi andar mar chuke ho
to jine ki adakari na karna
nibhane ke liye hote nahin ye
koi wada bhi sarkari na karna
faqiron ki hukumat hai dilon par
kabhi hum par tu sardari na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.