kisi ki yaad aafat Dha rahi hai
kisī kī yaad aafat Dhā rahī hai
tabī.at ḳhud-baḳhud ghabrā rahī hai
chalā huuñ us nazar kī justujū meñ
jahāñ dil hai vo manzil aa rahī hai
mohabbat ko nahīñ samjhī hai ab tak
magar duniyā hameñ samjhā rahī hai
yahī hai kyā mohabbat kā zamāna
zamāne par udāsī chhā rahī hai
unheñ jī bhar ke ab dekheñge 'shāhid'
ye sunte haiñ qayāmat aa rahī hai
kisi ki yaad aafat Dha rahi hai
tabiat KHud-baKHud ghabra rahi hai
chala hun us nazar ki justuju mein
jahan dil hai wo manzil aa rahi hai
mohabbat ko nahin samjhi hai ab tak
magar duniya hamein samjha rahi hai
yahi hai kya mohabbat ka zamana
zamane par udasi chha rahi hai
unhen ji bhar ke ab dekhenge 'shahid'
ye sunte hain qayamat aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.