kisi ki yaad aankhon mein Dhali hai
kisī kī yaad āñkhoñ meñ Dhalī hai
ajab sī dil-girafta sī namī hai
ġhazal meñ soz utrā hai kisī kā
kisī kī dhaḌkanoñ kī rāgnī hai
mirī muskān kab kī kho chukī thī
purānī albamoñ meñ mil ga.ī hai
na jaane phailtī hai kyoñ judā.ī
mirī dīvār tak to aa chukī hai
damaktā hai charāġh-e-dil hamārā
falak tak raushnī phailī huī hai
koī sahrā meñ kal jalva-numā thā
koī qindīl shab bhar ko jalī hai
hamārā baam mahkāne kī ḳhātir
zarā sī der ko ḳhushbū rukī hai
kiyā hai chāñd ko jab se paḌosī
sitāre kī nazar ham par thamī hai
mile the ittifāqan jo tumheñ ham
judā.ī ittifāqan kyoñ burī hai
nazar meñ rakh liyā hai jis ko 'nīlam'
sarāpā aarzū kī chāshnī hai
kisi ki yaad aankhon mein Dhali hai
ajab si dil-girafta si nami hai
ghazal mein soz utra hai kisi ka
kisi ki dhaDkanon ki ragni hai
meri muskan kab ki kho chuki thi
purani albamon mein mil gai hai
na jaane phailti hai kyon judai
meri diwar tak to aa chuki hai
damakta hai charagh-e-dil hamara
falak tak raushni phaili hui hai
koi sahra mein kal jalwa-numa tha
koi qindil shab bhar ko jali hai
hamara baam mahkane ki KHatir
zara si der ko KHushbu ruki hai
kiya hai chand ko jab se paDosi
sitare ki nazar hum par thami hai
mile the ittifaqan jo tumhein hum
judai ittifaqan kyon buri hai
nazar mein rakh liya hai jis ko 'nilam'
sarapa aarzu ki chashni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.