kisi ki yaad mein misl-e-charagh-e-rah-guzar tanha
kisī kī yaad meñ misl-e-charāġh-e-rah-guzar tanhā
guzārī hai shab-e-ġham ham ne aksar jaag kar tanhā
mohabbat meñ hamārī zindagī kā ab ye aalam hai
gulistāñ meñ ho jaise koī sūkhā sā shajar tanhā
hamīñ par tohmat-e-dīvāngī hai kis liye āḳhir
hamīñ par to na thā ai dil mohabbat kā asar tanhā
kahīñ aisā na ho ik din ye sote ḳhushk ho jaa.eñ
mohabbat ke hazāroñ ġham haiñ merī chashm-e-tar tanhā
kisī kā saath ho to zindagī jannat-badāmāñ hai
jahannum se bhī bad-tar hai magar guzre agar tanhā
kiyā thā ahd jin rāhoñ pe ham ne saath chalne kā
vo rāheñ hañs rahī haiñ aaj mujh ko dekh kar tanhā
havādis meñ dil-e-barbād kā aalam are tauba
havā ke ruḳh pe ho jaise charāġh-e-rahguzar tanhā
kahāñ par ḳhatm ho kab ḳhatm ho ye vaqt hī jaane
safar kar to rahā huuñ zindagī kā maiñ 'zafar' tanhā
kisi ki yaad mein misl-e-charagh-e-rah-guzar tanha
guzari hai shab-e-gham hum ne aksar jag kar tanha
mohabbat mein hamari zindagi ka ab ye aalam hai
gulistan mein ho jaise koi sukha sa shajar tanha
hamin par tohmat-e-diwangi hai kis liye aaKHir
hamin par to na tha ai dil mohabbat ka asar tanha
kahin aisa na ho ek din ye sote KHushk ho jaen
mohabbat ke hazaron gham hain meri chashm-e-tar tanha
kisi ka sath ho to zindagi jannat-badaman hai
jahannum se bhi bad-tar hai magar guzre agar tanha
kiya tha ahd jin rahon pe hum ne sath chalne ka
wo rahen hans rahi hain aaj mujh ko dekh kar tanha
hawadis mein dil-e-barbaad ka aalam are tauba
hawa ke ruKH pe ho jaise charagh-e-rahguzar tanha
kahan par KHatm ho kab KHatm ho ye waqt hi jaane
safar kar to raha hun zindagi ka main 'zafar' tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.