Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ki yaad thi warna kisi ke pas hi kya tha

Faizi Nizam Puri

kisi ki yaad thi warna kisi ke pas hi kya tha

Faizi Nizam Puri

kisī yaad thī varna kisī ke paas kyā thā

sivā ummīd ke bechārgī ke paas kyā thā

tamanna thī vafā thī dard-o-ġham the yās-o-hirmāñ the

kahā kis ne hamārī āshiqī ke paas kyā thā

zamāne tag-o-dau ne use bhī ḳhatm kar Daalā

ba-juz insāniyat ke aadmī ke paas kyā thā

junūñ rahbarī ne laaj rakh rāh-e-hastī meñ

haqīqat meñ hamārī zindagī ke paas kyā thā

kahāñ baaqī rahī vo bhī sabā ke gudgudāne se

hayā ke mā-sivā nāzuk kalī ke paas kyā thā

use manzil pe pahuñchāyā havādis ke thapeḌoñ ne

nahīñ to is shikasta zindagī ke paas kyā thā

ġham-o-ālām ne 'faizī' tujhe me.arāj baḳhshī hai

jahān-e-ārzū meñ bekasī ke paas kyā thā

kisi ki yaad thi warna kisi ke pas hi kya tha

siwa ummid ke bechaargi ke pas hi kya tha

tamanna thi wafa thi dard-o-gham the yas-o-hirman the

kaha kis ne hamari aashiqi ke pas hi kya tha

zamane ki tag-o-dau ne use bhi KHatm kar Dala

ba-juz insaniyat ke aadmi ke pas hi kya tha

junun ki rahbari ne laj rakh li rah-e-hasti mein

haqiqat mein hamari zindagi ke pas hi kya tha

kahan baqi rahi wo bhi saba ke gudgudane se

haya ke ma-siwa nazuk kali ke pas hi kya tha

use manzil pe pahunchaya hawadis ke thapeDon ne

nahin to is shikasta zindagi ke pas hi kya tha

gham-o-alam ne 'faizi' tujhe mearaj baKHshi hai

jahan-e-arzu mein bekasi ke pas hi kya tha

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now