kisi ki yaaden meri chashm-e-tar mein rahti hain
kisī kī yādeñ mirī chashm-e-tar meñ rahtī haiñ
ye kashtiyāñ haiñ kuchh aisī bhañvar meñ rahtī haiñ
zamāna ho gayā nīñdeñ nahīñ nasīb huiiñ
hamārī ḳhvāhisheñ zehnī safar meñ rahtī haiñ
kahīñ se pankh mileñ aur āsmāñ chhū leñ
kuchh aisī hasrateñ har ik bashar meñ rahtī haiñ
ye sotī jāgtī rahtī haiñ us kī yādoñ meñ
hamārī āñḳheñ usī ke asar meñ rahtī haiñ
safar hayāt kā pur-lutf hai magar ai dost
musībateñ bhī usī rahguzar meñ rahtī haiñ
havā meñ tairtī phirtī haiñ kitnī afvāheñ
dikhā.ī detī nahīñ aur ḳhabar meñ rahtī haiñ
kisi ki yaaden meri chashm-e-tar mein rahti hain
ye kashtiyan hain kuchh aisi bhanwar mein rahti hain
zamana ho gaya ninden nahin nasib huin
hamari KHwahishen zehni safar mein rahti hain
kahin se pankh milen aur aasman chhu len
kuchh aisi hasraten har ek bashar mein rahti hain
ye soti jagti rahti hain us ki yaadon mein
hamari aanKHen usi ke asar mein rahti hain
safar hayat ka pur-lutf hai magar ai dost
musibaten bhi usi rahguzar mein rahti hain
hawa mein tairti phirti hain kitni afwahen
dikhai deti nahin aur KHabar mein rahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.