kisi ki zad pe koi sar nahin hai
kisī kī zad pe koī sar nahīñ hai
tumhāre shahr meñ patthar nahīñ hai
huā hai qatl apne fikr-o-fan kā
magar ḳhanjar lahū meñ tar nahīñ hai
bhare aaseb se ḳhālī makāñ haiñ
vahāñ bastī meñ koī ghar nahīñ hai
sikhātā hai sabaq duniyā ko lekin
use apnā sabaq azbar nahīñ hai
'ajab maḳhlūq haiñ rahbar hamāre
kisī kā dhaḌ kisī kā sar nahīñ hai
kuchalte haiñ use pairoñ se phir bhī
koī qānūn se uupar nahīñ hai
kamāl-e-fan hai qatl-e-'ām us kā
vo shīshagar hai āhan-gar nahīñ hai
sab apnī apnī lāsheñ Dho rahe haiñ
yahāñ par koī nauhagar nahīñ hai
nahīñ shā'ir siyāsat-dāñ hai is ko
shu'ūr-e-bāda-o-sāġhar nahīñ hai
kisi ki zad pe koi sar nahin hai
tumhaare shahr mein patthar nahin hai
hua hai qatl apne fikr-o-fan ka
magar KHanjar lahu mein tar nahin hai
bhare aaseb se KHali makan hain
wahan basti mein koi ghar nahin hai
sikhata hai sabaq duniya ko lekin
use apna sabaq azbar nahin hai
'ajab maKHluq hain rahbar hamare
kisi ka dhaD kisi ka sar nahin hai
kuchalte hain use pairon se phir bhi
koi qanun se upar nahin hai
kamal-e-fan hai qatl-e-'am us ka
wo shishagar hai aahan-gar nahin hai
sab apni apni lashen Dho rahe hain
yahan par koi nauhagar nahin hai
nahin sha'ir siyasat-dan hai is ko
shu'ur-e-baada-o-saghar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.