kisi ki zulf kisi ke labon ko chaha tha
kisī kī zulf kisī ke laboñ ko chāhā thā
fareb detī huī sūratoñ ko chāhā thā
hai us ke dil meñ bhī ik aa.ina sā TuuTā huā
aur us ko yaad hai kin pattharoñ ko chāhā thā
vo bārisheñ vo havā.eñ vo bādaloñ ke hujūm
kisī ke pyaar meñ sab mausamoñ ko chāhā thā
udaas karte hue rāstoñ ne pūchhā hai
kahāñ ga.e haiñ vo jin dostoñ ko chāhā thā
ḳhud apne haal pe ham donoñ hans paḌe 'faisal'
ki ham ne apne sivā dūsroñ ko chāhā thā
kisi ki zulf kisi ke labon ko chaha tha
fareb deti hui suraton ko chaha tha
hai us ke dil mein bhi ek aaina sa TuTa hua
aur us ko yaad hai kin pattharon ko chaha tha
wo barishen wo hawaen wo baadalon ke hujum
kisi ke pyar mein sab mausamon ko chaha tha
udas karte hue raston ne puchha hai
kahan gae hain wo jin doston ko chaha tha
KHud apne haal pe hum donon hans paDe 'faisal'
ki hum ne apne siwa dusron ko chaha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.