kisi ki zulf nahin lab ki garmiyan bhi nahin
kisī kī zulf nahīñ lab kī garmiyāñ bhī nahīñ
guloñ pe aaj to āvāra titliyāñ bhī nahīñ
abhī ye haal huā is pe kashtiyāñ guzrīñ
vo gaañv jis pe kabhī chhā.īñ badliyāñ bhī nahīñ
hamārā ghar hai ki dīvāroñ kī numā.ish hai
koī kivāḌ to kyā is meñ khiḌkiyāñ bhī nahīñ
garāñ thī shab to mirī sub.h bhī hirāsāñ hai
abhī ufuq pe vo pahle sī surḳhiyāñ bhī nahīñ
asīr-e-jism hai jaañ aur ye badan apnā
kamāl kā hai qafas jis meñ tīliyāñ bhī nahīñ
ga.ī hai un pe bhī ab us kī barq-bār nazar
daraḳht jin pe hamāre to āshiyāñ bhī nahīñ
sulūk us ne mohabbat meñ vo kiyā 'bebāk'
huā jo ham se adāvat ke darmiyāñ bhī nahīñ
kisi ki zulf nahin lab ki garmiyan bhi nahin
gulon pe aaj to aawara titliyan bhi nahin
abhi ye haal hua is pe kashtiyan guzrin
wo ganw jis pe kabhi chhain badliyan bhi nahin
hamara ghar hai ki diwaron ki numaish hai
koi kiwaD to kya is mein khiDkiyan bhi nahin
garan thi shab to meri subh bhi hirasan hai
abhi ufuq pe wo pahle si surKHiyan bhi nahin
asir-e-jism hai jaan aur ye badan apna
kamal ka hai qafas jis mein tiliyan bhi nahin
gai hai un pe bhi ab us ki barq-bar nazar
daraKHt jin pe hamare to aashiyan bhi nahin
suluk us ne mohabbat mein wo kiya 'bebak'
hua jo hum se adawat ke darmiyan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.